% ITRANS SONG # % Date: 7 Jun 2004 13:45:02 -0700 % From: v9y@hotmail.com (Vinay) \startsong \stitle{us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N}% \film{Rare Gems (Non-Film)}% \year{1960s?}% \starring{}% \singer{Jagjit Singh, Chitra Singh}% \music{Jagjit Singh}% \lyrics{Ghalib, Amir Minai}% % Audio on: HMV % Contributor: Vinay P Jain % Transliterator: Vinay P Jain % Date: 7 Jun 2004 % Series: Andaaz-e-Bayaan Aur % Comments: The song was first released on EPs in late 60s/ % early 70s. Later, in late 80s, HMV released a collection of some % ghazals of Jagjit-Chitra from that era pakcaged as 'Rare Gems'. % She'rs # 2, 4, 6 are by Ghalib and the rest by Amir Minai. % generated using giitaayan \printtitle #indian 1. us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N 2. meharabaa.N ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt mai.n gayaa waqt nahii.n huu.N ki phir aa bhii na sakuu.N 3. Daal kar Kaak mere Kuun pe qaatil ne kahaa kuchh ye me.nhadii nahii.n merii ki miTaa bhii na sakuu.N 4. zauf me.n taanaa\-e\-aGayaar kaa shikavaa kyaa hai baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.N % zauf = kamajorii; aGayaar = dushman 5. zabt kamabaKt ne aur aa ke galaa gho.nTaa hai ki use haal sunaauu.N to sunaa bhii na sakuu.N 6. zahar milataa hii nahii.n mujhako sitamagar varnaa kyaa qasam hai tere milane kii ki khaa bhii na sakuu.N 7. us ke pahaluu me.n jo le jaa ke sulaa duu.N dil ko nii.nd aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N #endindian \endsong