% ITRANS SONG # rmim0230; Created on Jan 26, 2004 % % nani 1/9/4 % \startsong \stitle{o tere saath ... chalaa hai pyaar kaa raahii}% \film{26th January/ Bharati}% \year{1956}% \starring{Nalini Jaywant, Ajit, Johnny Walker}% \singer{Lata}% \music{C Ramchandra}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: dhananjay naniwadekar % Date: 08 January 2004 % Credits: Gurcharan Singh Sandhu % Harmandir Singh Sachdev ('Hamraaz') % Comments: Latanjali Series % Film - 26th January urf bhaaratii. Sehgal Productions % Director - Ramesh Sehgal. Original 78s for the film % were issued by the short-lived but much-admired % Bulbul Records label. % \printtitle #indian % ## prelude ## o tere saath saath merii duniyaa bhii jaa rahii hai din chhup rahaa hai, Gam kii ab shaam aa rahii hai chalaa hai pyaar kaa raahii o nadiyaa, raasataa denaa kisii TuuTe hue dil kii, arii laharo, duaa lenaa biga.D jaaegaa kyaa teraa are tufaa.N, zaraa tham jaa musaafir paar utar jaae are paanii, zaraa jam jaa kahii.n merii muhabbat ko na duniyaa se uThaa lenaa kisii zi.ndagii me.n khel kar ai maut, kyaa legii bataa kyaa chaar din ke pyaar ko furasat nahii.n degii lahuu kii pyaas merii jaan lekar tuu bujhaa lenaa % #endindian \endsong %