% ITRANS SONG # rmim0141; Created on Jan 26, 2004 % % arunabha 11/3/3 % \startsong \stitle{bataa_uu.N baat to ... ye hai.n pyaar ke nazaare hulle hullaa re}% \film{Ek Thi Reeta}% \year{1971}% \starring{Tanuja, Vinod Mehra}% \singer{Asha, chorus}% \music{Jaidev}% \lyrics{Prem Jalandhari}% % % Contributor: Arunabha S. Roy % Transliterator: Arunabha S. Roy % Date: 27 Aug 2003 % Series: GEETanjali % generated using giitaayan % \printtitle #indian % bataa_uu.N baat to baato.n se baat ba.Dhatii hai aur chhupaa_uu.N to yah baat sar pe cha.Dhatii hai udhar kii baat na biga.De idhar kii baat rahe bachaake baat hame.n baat yah kahanii pa.Datii hai kyaa ? ye hai.n pyaar ke nazaare, hulle hullaa re, hulle hullaa re nigaaho.n ke hasii.n ishaare, hulle hullaa re, hulle hullaa re kabhii nakharaa kabhii jhaga.Daa kabhii shoKii kabhii Gussaa \-2 na yah inkaar na iqaraar is me.n jiit hai na haar taubaa ishq kaa vyopaar kaisaa khel hai pyaare jo is Takaraar ko hii pyaar kahate hai.n to ham haare ye hai.n pyaar ke nazaare \threedots kabhii baadal kabhii bijalii kabhii gu.Diyaa kabhii titalii \-2 kahii.n mahakii hu_ii zulfe.n kahii.n bahakii hu_ii nazare.n jo ba.Dhakar rok le raahe.n to apanaa doSh kyaa pyaare ke ham to dekhate hai.n shoK pe a.ndaaz to maare ye hai.n pyaar ke nazaare \threedots % #endindian \endsong %