% \startsong \stitle{khabar kisii ko nahii.n vo kidhar ko dekhate hai.n}% \film{Beqasoor}% \year{1950}% \starring{Ajit, Madhubala}% \singer{Rafi, G M Durrani, Mukesh}% \music{Anil Biswas}% \lyrics{Ahsaan Rizvi}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Date: 23 Oct 1998 % Credits: Satish Subramaniam % Comments: % %\printtitle #indian % r : khabar kisii ko nahii.n vo kidhar ko dekhate hai.n ye kaun jaane ki dil yaa jigar ko dekhate hai.n nazar bachaa ke ham unakii nazar ko dekhate hai.n jo bekhabar hai usii bekhabar ko dekhate hai.n duaa_e.n maa.Ng rahe hai.n, haay! asar ko dekhate hai.n du: sunaa hai unako bhii ham bekaso se ulfat hai ko_ii bataa_o ki kaisii hamaarii kismat hai dha.Dak rahaa hai dil apanii ajiib haalat hai vo aaye hamaare ghar me.n khudaa kii kudarat hai kabhii ham unako ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n mu: ajii ye ishq dekhiye kyaa din dikhaane vaalaa hai zaruur koii nayaa gul khilaane vaala hai chaman se aur kahii.n le ke jaane vaalaa hai javaab khat kaa mere aaj aane vaalaa hai r : are bhai zaruur aayegaa #spoken# mu: kabhii gha.Dii ko kabhii naamabar ko dekhate hai.n % #endindian \endsong %