% \startsong \stitle{aanaa hai to aa, raah me.n kuchh pher nahii.n hai}% \film{Naya Daur}% \year{1957}% \starring{Dilip Kumar, Vyjayantimala, Ajit}% \singer{Rafi}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Prithviraj Dasgupta % Surajit A Bose % Editor: Vinay P Jain % \printtitle #indian % aanaa hai to aa, raah me.n kuchh pher nahii.n hai bhagavaan ke ghar der hai, a.ndher nahii.n hai aanaa hai to aa ... jab tujhase na sulajhe.n tere ulajhe hue dha.ndhe bhagavaan ke inasaaf pe sab chho.D de ba.nde Khud hii terii mushkil ko vo aasaan karegaa jo tuu nahii.n kar paayaa vo bhagavaan karegaa aanaa hai to aa ... kahane kii zaruurat nahii.n, aanaa hii bahut hai is dar pe teraa siis jhukaanaa hii bahut hai jo kuchh hai tere dil me.n vo sab usako Khabar hai ba.nde tere har haal pe maalik kii nazar hai aanaa hai to aa ... bin maa.Nge bhii milatii hai.n yahaa.N man kii muraade.n dil saaf ho jinakaa vo yahaa.N aake sadaa de.n milataa hai jahaa.N nyaay vo darabaar yahii hai sa.nsaar kii sab se ba.Dii sarakaar yahii hai aanaa hai to aa ... % #endindian \endsong %