% \startsong \stitle{jurm-e-ulfat pe hame.n log sazaa dete hai.n}% \film{Taj Mahal}% \year{1963}% \starring{Pradeep Kumar, Beena Roy}% \singer{Lata, Kamal Barot, Ira Nagrath, Sudha Malhotra}% \music{Roshan}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Vandana Venkatesan (vandana@charlie.ece.scarolina.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Surajit A Bose % K Vijay Kumar % Editor: Vinay P Jain % Comments: This is the movie version of the Ghazal. The first six she'r % are sung by Kamal Barot, Ira Nagrath,and Sudha Malhotra, two % she'r each in that order. The last five are by Lata. Audio % recordings have only the Lata portion of the song, with the % couplets in a slightly different order. \printtitle #indian % apane chehare se vo paradaa jo uThaa dete hai.n ra.ng gulazaar ke phuulo.n kaa u.Daa dete hai.n maikade unakii nigaaho.n me.n base rahate hai.n vo jise dekh le.n mastaanaa banaa dete hai.n bewafaaii se vafaao.n kaa silaa dete hai.n kaise bedard hai.n, kyaa lete hai.n, kyaa dete hai.n aise baiThe hai.n ki jaise hame.n dekhaa hii nahii.n yahii a.ndaaz to diivaanaa banaa dete hai.n laal-o-gauhar se hasiino.n ko sajaa dete hai.n qadradaa.N yuu.N hii muhabbat kaa silaa dete hai.n ishq kyaa hai ye shaha.nshaaho.n se puuchhe koii husn ko taKht-e-huquumat pe biThaa dete hai.n aap daulat ke taraazuu me.n dilo.n ko tole.n ham muhabbat se muhabbat kaa silaa dete hai.n jurm-e-ulfat pe hame.n log sazaa dete hai.n kaise naadaan hai.n, sholo.n ko havaa dete hai.n hamase diivaane kahii.n tark-e-vafaa karate hai.n jaan jaae ki rahe baat nibhaa dete hai.n taKht kyaa chiiz hai aur laal-o-javaahar kyaa hai.n ishq vaale to Khudaaii bhii luTaa dete hai.n hamane dil de bhii diyaa, ahad-e-vafaa le bhii liyaa aap ab shauq se de le.n jo sazaa dete hai.n % #endindian \endsong %