% \startsong \stitle{jaane kahaa.N gae vo din, kahate the terii raah me.n}% \film{Mera Naam Joker}% \starring{Raj Kapoor}% \singer{Mukesh}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: Vikas Nehru (vikas@cs.ualberta.ca) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Levent Erbilgin at BNR Europe Ltd,Maidenhead, UK (sanjeev@bnr.ca) % Jagat Mavani % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % jaane kahaa.N gae vo din, kahate the terii raah me.n nazaro.n ko ham bichhaae.nge chaahe kahii.n bhii tum raho, chaahe.nge tumako umr bhar tumako naa bhuul paae.nge jaane kahaa.N gae vo din \threedots mere kadam jahaa.N pa.De, sajade kiye the yaar ne \- 2 mujhako rulaa rulaa diyaa, jaatii hu_ii bahaar ne jaane kahaa.N gae vo din \threedots apanii nazar me.n aaj kal, din bhii a.ndherii raat hai \- 2 saayaa hii apane saath thaa, saayaa hii apane saath hai jaane kahaa.N gae vo din \threedots % This stanza was sung by Mukesh on his last tour of the US. % It is not known to exist in 'official' or film versions. is dil ke aashiyaan me.n bas unake Kayaal rah gaye to.D ke dil vo chal diye, ham phir akele rah gaye jaane kahaa.N gae vo din \threedots % #endindian \endsong %