% \startsong \stitle{husn vaale teraa javaab nahii.n koi tujh-saa nahii.n hazaaro.n me.n}% \film{Gharana}% \year{}% \starring{Rajendra Kumar, Raaj Kumar, Asha Parekh}% \singer{Rafi}% \music{Ravi}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Credits: Samiuddin Mohammed (sm0e@Lehigh.EDU) % Rajan Parrikar (parrikar@spot.colorado.edu) % Sanjeev Ramabhadran (sanjeevr@phoenix.princeton.edu) % Editor: % \printtitle #indian % husn vaale teraa javaab nahii.n koI tujh\-saa nahii.n hazaaro.n me.n tuu hai aisii kalii jo gulashan me.n saath apane bahaar laayii ho tuu hai aisii kiraN jo raat Dhale chaa.Ndanii me.n nahaa ke aayii ho ye teraa nuur ye tere jalave jis tarah chaa.Nd ho sitaaro.n me.n husn vaale \threedots terI aa.Nkho.n me.n aisii mastii hai jaise chhalake hue ho.n paimaane tere ho.nTho.n pe vo khaamoshii hai jaise bikhare hue ho.n afasaane terii zulfo.n kii aisii ra.ngat hai jaise kaalii ghaTaa bahaaro.n me.n husn vaale \threedots terii suurat jo dekh le shaayar apane shero.n me.n taazagii bhar le ek musavvir jo tujh ko paa jaae apane Kvaabo.n me.n zi.ndagii bhar le naGamaagar Dhuu.NDh le agar tujh ko dard bhar le vo dil ke taaro.n me.n husn vaale teraa javaab nahii.n \threedots % #endindian \endsong %