% \startsong \stitle{ham diivaane tere dar se nahii.n Talane vaale}% \film{Naqli Nawaab}% \year{1962}% \starring{Ashok Kumar, Manoj Kumar, Shakeela}% \singer{Rafi, Asha}% \music{Babul}% \lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Date: % Credits: % Editor: % Comments: % %\printtitle #indian % aa~~ ham diivaane tere dar se nahii.n Talanevaale ham diivaane haay! hum diivaane tere ham diivaane tere dar se nahii.n Talanevaale aur machale.nge abhii tujhape machalanevaale (2) aur machale.nge, are machale.nge, machale.nge, machale.nge aur machale.nge abhii tujhape machalanevaale ham diivaane tere dar se nahii.n Talanevaale phuul saa ra.ng bhii hai, husn bhii hai, ruup bhii hai are phuul saa rang bhii hai aur husn bhii hai, ruup bhii hai #spoken# aa~~ phir mere ishq kaa suuraj bhii hai aur dhuup bhii hai phir mere ishq kaa, suuraj bhii hai aur dhuup bhii hai #recited# ab to ye pyaar ke saaye nahii.n Dhalane vaale aur machale.nge abhii tujhape machalanevaale ham diivaane tere dar se nahii.n Talanevaale berukhii ne tere zaalim hame.n barabaad kiyaa berukhii ne tere zaalim hame.n barabaad kiyaa ## recited ## aise bhuule ke na bhuule se hame.n yaad kiyaa aise bhuule ke na bhuule se hame.n yaad kiyaa, yaad kiyaa, yaad kiyaa phuul\-se dil ko nigaaho.n se masalanevaale aa~~ ham diivaane tere dar se nahiin Talanevaale % #endindian \endsong %