% \startsong \stitle{devataa tum ho meraa sahaaraa}% \film{Daera}% \year{1953}% \starring{Meena Kumari, Nasir Khan}% \singer{Mubarak Begum, Rafi, chorus}% \music{Jamal Sen}% \lyrics{Kaif Bhopali}% % % Contributors: Neha Desai % Surajit A. Bose % Ashok Dhareshwar % Transliterator: % Date: 24-Jun-1999 % Edited: 21-Jan-2019 % Editor: Vinay P Jain % Comments: % Part-1 and 3 below are transcribed as they appear in the 78 RPM release. % The stanzas of Part-2 appear only in the film. - Surajit \printtitle #indian % # bhaag-1 mubaarak: Daal dii mai.nne jal-thal me.n naiyaa jaaganaa ho to jaago khivaiyaa -2 devataa tum ho meraa sahaaraa mai.nne thaamaa hai daaman tumhaaraa -2 koras: devataa tum ho ... mubaarak: thaam lo apanii raadhaa ko bhagavan ruk na jaaye kahii.n dil kii dha.Dakan ye na kahane lage koii birahan mu.Nh chhupaakar saa.Nvariyaa ne maaraa -2 devataa tum ho meraa sahaaraa ... mere naino.n ko tum aise bhaaye do gha.Dii mujhako ni.ndiyaa na aaye merii aa.Nkho.n se aa.Nkhe.n la.Daaye Duubataa hai savere kaa taaraa -2 devataa tum ho meraa sahaaraa ... # bhaag-2 (kewal film me.n) devataa tum ho meraa sahaaraa mai.nne thaamaa hai daaman tumhaaraa mubaarak: (ruuThakar muskuraate ho jab tum ha.Nsake ba.nsii bajaate ho jab tum) -2 rafii: jhuumakar gun_gunaate ho jab tum -2 mubaarak, rafii: gun_gunaataa hai sa.nsaar saaraa devataa tum ho meraa sahaaraa ... rafii: (mere aakaash par chhaa gaye tum aap hii saamane aa gaye tum) -2 mubaarak: mai.nne dekhaa to sharamaa gaye tum -2 mubaarak, rafii: kaun jiitaa kaho kaun haaraa devataa tum ho meraa sahaaraa ... # bhaag-3 rafii: rain bhaarii hai gaharaa a.Ndheraa haath le lo tum haatho.n me.n meraa rain bhaarii hai (so gaye mandiro.n ke pujaarii guu.Njatii hai muraliyaa tumhaarii) -2 aatmaa jhuumatii hai hamaarii mubaarak: dil khi.nchaa jaa rahaa hai hamaaraa -2 rafii, mubaarak: devataa tum ho meraa sahaaraa ... mubaarak: chho.Dakar mai.n na bhagavan ko jaauu.N raat bhar yuu.N hii jaaguu.N jagaauu.N geet gaa-gaa ke rouu.N rulaauu.N ye vachan luu.N ki mai.n huu.N tumhaaraa -2 rafii: mai.n huu.N tumhaaraa ... % #endindian \endsong %