% \startsong \stitle{cheharaa hai yaa chaa.Nd khilaa hai}% \film{Saagar}% \year{}% \starring{Rishi, Kamal Hasan, Padmini}% \singer{Kishore}% \music{R D Burman}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: Arun Verma (verma@CS.Cornell.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Neha Desai % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % (ho, cheharaa hai yaa chaa.Nd khilaa hai zulf ghanerii shaam hai kyaa ) \- 2 saagar jaisii aa.Nkho.n vaalii ye to bataa terA naam hai kyaa \threedots tU kyA jaane terI khaatir kitanaa hai betaab ye dil tU kyA jaane dekh rahaa hai kaise kaise khvaab ye dil dil kahataa hai \threedots tU hai yahaa.N to jaataa lamhaa tham jaaye vaqt kA dariyaa bahate bahate is ma.njar me.n jam jaaye tUne dIvaanaa dil ko banaayaa, is dil pe ilzaam hai kyA, saagar jaisii aa.Nkho.n vaalii, ye to bataa terA naam hai kyA cheharaa hai yaa \threedots ho, aaj mai.n tujhase dUr sahii aur tU mujhase anjaan sahii \threedots terA saath nahii.n paaU.n to gair terA aramaan sahii \threedots ye aramaan hai.n shor nahii.n ho khAmoshii ke mele ho.n is duniyA me.n koI nahii.n ho ham dono hii akele ho.n tere sapane dekh rahaa huu.N, aur meraa ab kaam hai kyA saagar jaisii aa.Nkho.n vaalii , ye to bataa terA naam hai kyA cheharaa hai yaa \threedots % #endindian \endsong %