% ITRANS SONG # 3377; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa}% \film{Diwaali Ki Raat}% \year{1956}% \starring{Talat Mahmood, Roopmala, Shashikala}% \singer{Talat, Madhubala Zaveri}% \music{Snehal Bhatkar}% \lyrics{Madhukar Rajasthani}% % % Contributor: Nimish Pachapurkar % Transliterator: Nimish Pachapurkar % Date: Nov 9, 2002 % Comments: GEETanjali Series % generated using giitaayan % \printtitle #indian % madhubaalaa: kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa Takaraayii nazar sharamaa hii gaye talat: ik jhukatii nazar ko dekh sanam ham piye binaa laharaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa talat: zulfo.n kii ghaTaa_o.n me.n chhup kar jii bhar ke chalaa lo tiir\-e\-nazar ulafat kii adaa ke diiwaane sau tiir jigar par khaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa madhubaalaa: tum raaz\-e\-muhabbat kyaa samajho tum ishq kii baate.n kyaa jaano haaye, kachche dhaage se ba.Ndh kar sarakaar merii tum aa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa talat: ai saaz-e-jawaanii chhe.D ko_ii ek giit suhaanaa pyaar bharaa do pyaar bhare dil aaj mile ma.nzil ko apanii paa hii gaye madhubaalaa: ai raat yahii.n par ruk jaa tuu ai chaa.Nd sitaaro.n mat Dhalanaa a.ndaaz\-e\-bayaa.N se zaahir hai ham un ke dil ko bhaa hii gaye dono.n: kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa Takaraayii nazar sharamaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa % #endindian \endsong %