% ITRANS SONG # 3290; Created on Jan 26, 2004 % % From: Surajit A. Bose (sbose@saintmarys.edu) % Date: 2002-05-15 19:42:38 PST % \startsong \stitle{betaab dil kii tamannaa yahii hai}% \film{Hanste Zakhm}% \year{1973}% \starring{Priya Rajvansh, Navin Nishchal, Balraj Sahni}% \singer{Lata}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Kaifi Azmi}% % % Contributor: Surajit A. Bose % Transliterator: Surajit A. Bose % Date: May 15, 2002 % Credits: UVR % Comments: GEETanjali series % \printtitle #indian % betaab dil kii tamannaa yahii hai tumhe.n chaahe.nge tumhe.n puuje.nge tumhe.n apanaa Kudaa banaa_e.Nge, betaab \threedots suune suune Kvaabo.n me.n jab tak tum na aaye the Kushiyaa.N thii.n sab auro.n kii, Gam bhii saare paraaye the apane se bhii chupaa_ii thii dha.Dakan apane siine kii ham ko jiinaa pa.Dataa thaa, Kwaahish kab thii jiine kii ab jo aake tum ne hame.n jiinaa sikhaa liyaa hai chalo duniyaa na_ii basaa_e.Nge, betaab \threedots bhiigii bhiigii palako.n par sapane itane sajaae hai.n dil me.n jitanaa a.Ndheraa thaa, utane ujaale aae hai.n tum bhii ham ko jagaanaa naa, baaho.n me.n jo so jaae.N jaise Kushbuu phuulo.n me.n tum me.n yuu.N hii kho jaae.N pal bhar kisii janam me.n kabhii chhuuTe naa saath apanaa tumhe.n aise gale lagaa_e.Nge, betaab \threedots vaade bhii hai.n, qasame.n bhii, biitaa vaqt ishaaro.n kaa kaise kaise aramaa.N hai.n, melaa jaise bahaaro.n kaa saaraa gulashan de Daalaa, kaliyaa.N aur khilaao naa ha.Nsate ha.Nsate ro de.n ham, itanaa bhii to ha.Nsaao naa dil me.n tumhii.n base ho, rahaa aa.Nchal vo bhar chukaa hai kahaa.N itanii Kushii chhupaa_e.Nge, betaab \threedots % #endindian \endsong %