% \startsong \stitle{tere raaste pe ham ne ik ghar banaa liyaa hai}% \film{Kavi}% \year{1954}% \starring{Geeta Bali, Bharat Bhushan, Nalini Jaywant, Om Prakash}% \singer{Talat, Lata}% \music{C Ramchandra}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % tere raaste pe ham ne ik ghar banaa liyaa hai terii muskuraahaTo.n se is ko sajaa liyaa hai tere raaste pe ham ne \threedots aane se tere pahale aataa hai ek ishaaraa suuraj ke pahale jaise ik roshanii kii dhaaraa ham ne yahii ishaaraa dil me.n basaa liyaa hai tere raaste pe ham ne \threedots tere ghar se duur kyo.n hai.n terii zi.ndagii kii raahe.n mere dil kii dha.Dakano.n me.n tere giit terii aahe.n terii roshanii se dil kaa diipak jalaa liyaa hai tere raaste pe ham ne \threedots terii paayalo.n kii chham\-chham mere giit me.n samaayii merii aarazuu ne saragam terii naam se sajaayii chhoTii sii is adaa ko naGamaa banaa liyaa hai tere raaste pe ham ne \threedots % #endindian \endsong %