% \startsong \stitle{jiine kaa Dha.ng sikhaaye jaa}% \film{Parwaana}% \year{1947}% \starring{Saigal, Suraiya}% \singer{Saigal}% \music{Khemchand Prakash}% \lyrics{D N Madhok}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Neha Desai % Comments: % \printtitle #indian % ek phuul ha.ns ke baaG me.n kaliyaa.N khilaaye jaa shabanam ke ashk apanii ha.Nsii me.n chhupaaye jaa jiine kaa Dha.ng sikhaaye jaa kaa.NTo.n kii nok par kha.Daa muskuraaye jaa jiine kaa Dha.ng sikhaaye jaa \threedots bha.Nvare ne tere kaano.n me.n kuchh gunagunaa diyaa ye kah ke raaz\-e\-zi.ndagii tujhako bataa diyaa rote hue jahaan me.n tuu muskuraaye jaa, tuu muskuraaye jaa jiine kaa Dha.ng sikhaaye jaa \threedots bulabul kii sadaa_o.n me.n bhii paiGaam yahii hai koyal kii piihakuu subah shaam yahii hai o ha.Nsate hue phuul tere husn pe sadaqe patajha.D me.n kyaa kare koii itanaa bataaye jaa jiine kaa Dha.ng sikhaaye jaa \threedots % #endindian \endsong %