% \startsong \stitle{ik lafz-e-muhabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai}% \film{Beraham}% \year{1980}% \starring{Sanjeev Kumar, Mala Sinha, Shatrughan Sinha}% \singer{Anup Jalota, Asha}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Jigar Moradabadi}% % % Contributor: David Anthony Windsor % Transliterator: David Anthony Windsor % Credits: % Comments : The first, third and sixth (and seventh?) of the shers were in % the movie version, I think - David. % \printtitle #indian % ik lafz\-e\-muhabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai simaTe to dil\-e\-aashiq, faile to zamaanaa hai ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasaana hai rone ko nahii.n koii ha.Nsane ko zamaanaa hai ye ishq nahii.n aasaa.N, bas itanaa samajh liije ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai vo husn\-o\-jamaal un kaa, ye ishq\-o\-shabaab apanaa jiine kii tamannaa hai, marane kaa zamaanaa hai ashqo.n ke tabassum me.n, aaho.n ke tarannum me.n maasuum muhabbat kaa maasuum fasaanaa hai kyaa husn ne samajhaa hai, kyaa ishq ne jaanaa hai ham Kaak\-nashiino.n kii, Thokar me.n zamaanaa hai yaa vo the Kafaa ham se yaa ham the Kafaa un se kal un kaa zamaanaa thaa, aaj apanaa zamaanaa hai aa.Nsuu to bahut se hai.N aa.Nkho.n me.n 'eks' lekin bah jaaye.n to miitaa hai.n, rah jaaye.n to daanaa hai hai ishq\-e\-junoon peshaa, haa.N ishq\-e\-junoon pesha ek sitamagar ko aaj, ha.Ns ha.Ns ke rulaana hai % #endindian \endsong %