% \startsong \stitle{ham ne sanam ko Kat likhaa}% \film{Shakti}% \year{1982}% \starring{Smita Patil, Amitabh Bachchan, Dilip Kumar, Rakhe, Amrish Puri, Kulbhushan Kharbanda}% \singer{Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Nita % Transliterator: Nita % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % hame.n bas ye pataa hai vo bahut hii khuubasuurat hai lifaafe ke liye lekin pate kii bhii zaruurat hai ham ne sanam ko Kat likhaa, Kat me.n likhaa ai dil_rubaa, dil kii galii shahar\-e-\vafaa ham ne sanam ko \threedots pahu.Nche ye Kat jaane kahaa.N, jaane bane kyaa daasataa.N us par raqiibo.n kaa ye Dar, lag jaaye unake haath gar kitanaa buraa a.njaam ho, dil muft me.n badanaam ho aisaa na ho, aisaa na ho apane ye raat din ham ne sanam ko \threedots piipal kaa ye pattaa nahii.n, kaaGaz kaa ye Tuka.Daa nahii.n is dil ke ye aramaan hai.n, is me.n hamaarii jaan hai aisaa Gazab ho jaaye na raste me.n ye kho jaaye na ham ne ba.Dii taaqiid kii, Daalaa ise jab Daak me.n ye Daak Baabuu se kahaa ham ne sanam ko \threedots baraso.n javaab\-e-\yaar kaa, dekhaa kiye ham raastaa ek din vo Kat vaapas milaa aur Daakiye ne ye kahaa is Daak khaane me.n nahii.n, saare zamaane me.n nahii.n koii sanam is naam kaa koii galii is naam kaa koii shahar is naam kaa ham ne sanam ko \threedots % #endindian \endsong %