% \startsong \stitle{o aaSha.Dh ke pahale baadal ... duur dekh alakaapurii}% \film{Kavi Kalidas}% \year{1959}% \starring{Bharat Bhushan, Nirupa Roy, Anita Guha}% \singer{Manna De, Lata}% \music{S N Tripathi}% \lyrics{Bharat Vyas}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Reshma Hingorani % Surajit A Bose % Amir Jafri % Editor: Vinay P Jain % Comments: A synopsis of Kalidas's epic meghaduutam.h % \printtitle #indian % o aaShaa.Dh ke pahale baadal, o nabh ke kaajal virahii jano.n ke karuN ashrujal, ruk jaa re ek pal duur-duur meraa desh jahaa.N bikharaae kesh virahan kaa banaae vesh priyaa merii videsh kaise kaaTe kalesh use denaa meraa ye sa.ndesh, re o aaShaa.Dh ke pahale baadal jaa re jaa o megh, o mere duHkh ke saathii chal aise jyo.n gagan-maarg me.n chalataa haathii ma.nd pawan aur baae.N chaatak bol rahaa hai baa.Ndh kataar baguliyo.n kaa dal Dol rahaa hai raajaha.ns bhii u.Date hai.n pa.nkho.n ko taane mitr vidaa ke samay ho rahe shakun suhaane o aaShaa.Dh ke pahale baadal jaate-jaate tumhe.n maarg me.n milegaa maalav desh jahaa.N mohinii maalinio.n kaa madhur manohar vesh aa ~~ meghavaa jhar-jhar laage barasan jaae kaho tum chhaae kit san meghavaa jhar-jhar laage barasan tum to rahe paradesan barasan ham tumhare darasan ko tarasan priit lagii tumharii o ran-chhan meghavaa jhar-jhar laage barasan aage tumako mitr milegii kurukShetra kii bhuumi vishaal mahaabhaarat ke mahaayuddh kii jahaa.N jalii thii ek din jwaal koTi-koTi jahaa.N baras pa.De the ripu dal par arjun ke baaN kamal dalo.n par barase jyo.n terii barakhaa ke agaNit baaN mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN o~ gore gaal hu_e laal paapii kahanaa meraa maan mat, ho mat, ho mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN sanana-sanana pawan chale jhanana-jhanana jhaa.Njhar bole san-sananan, jhan-jhanajhan jhanana-jhanana jhaa.Njhar bole o~ kajaraa bhiige a.Ncharaa bhiige, bhiige re nanhii-sii jaan mat, ho mat, ho mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN basa.nt biitaa barakhaa aaii ab to bidesiyaa chet meghavaa a.ng lagat hai mere lipaT-lipaT ras let haay mai.n kyaa karuu.N mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN chal aage himagiri shikharo.n par jahaa.N baa.ns ke vR^ikSh mahaan jinake tan ko chhuukar chhe.De pawan haThiilaa miiThii taan tirachhii taan me.n taan milaakar gaatii hai.n kinnariyaa.N gaan us sa.ngiit ke saath garaj tuu, jaage pashupatinaath mahaan AUM namaH shivaay, AUM namaH shivaay, namaH shivaay sha.nkar trilochan ardhaa.ng gaurii shir cha.ndra dhaari, sha.nkar trilochan mahaadev jay, mahaadev jay, mahaadev jay gale mu.nD kii maal, kaTi sohe mR^ig chaal har-har mahaadev kalyaaNakaarii sha.nkar trilochan ardhaa.ng gaurii har-har mahaadev, har-har mahaadev, har-har mahaadev duur dekh alakaapurii jahaa.N merii priya naar chhupii huii sahamii ThiThakii-sii lie virah kaa bhaar aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii virah me.n ro-ro utaare aa.Nsuo.n kii aaratii tum base parades priitam praaN bhii sa.ng le gae kyaa huaa aparaadh jo badale me.n ye duHkh de gae sukh le gae jag lage a.ngaar-saa, si.ngaar mai.n na sa.Nvaaratii aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii milan kii ek aas par ye din uge aur din Dhale jii rahii huu.N is tarah jyo.n tel bin baatii jale kab tak jale raat-din gin-ginake pal-pal pa.nth-pa.nth nihaaratii aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii % #endindian \endsong %