% \startsong \stitle{ai ajanabii tuu bhii kabhii}% \film{Dil Se}% \year{1998}% \starring{Shahrukh Khan, Manisha Koirala}% \singer{}% \music{A R Rahman}% \lyrics{Gulzar}% % % Contributor: Tom Cownan % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: Alfaaz % \printtitle #indian % o paakhii paakhii paradesii ai ajanabii tuu bhii kabhii aavaaz de kahii.n se mai.n yahaa.N Tuka.Do.n me.n jii rahaa huu.N tuu kahii.n Tuka.Do.n me.n jii rahii hai ai ajanabii tuu bhii kabhii \threedots roz roz resham sii havaa, aate jaate kahatii hai bataa resham sii havaa kahatii hai bataa vo jo duudh dhulii, maasuum kalii vo hai kahaa.N kahaa.N hai vo roshanii, kahaa.N hai vo jaan sii kahaa.N hai mai.n adhuuraa, tuu adhuurii jii rahii hai ai ajanabii tuu bhii kabhii \threedots o paakhii paakhii paradesii tuu to nahii.n hai lekin, terii muskuraahaT hai cheharaa kahii.n nahii.n hai par, terii aahaT hai tuu hai kahaa.N kahaa.N hai, teraa nishaa.N kahaa.N hai meraa jahaa.N kahaa.N hai mai.n adhuuraa, tuu adhuurii jii rahii hai ai ajanabii tuu bhii kabhii \threedots % #endindian \endsong %