% \startsong \stitle{kyaa mausam hai, ai diivaane dil chal kahii.n duur nikal jaaye.n}% \film{Doosra Aadmi}% \year{1977}% \starring{Rakhee, Rishi Kapoor, Neetu Singh, Parikshit Sahni, Deven Verma}% \singer{Lata, Kishore, Rafi}% \music{Rajesh Roshan}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Sep 7 1995 % Credits: preetham@connectinc.com (Preetham Gopalaswamy) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % ki : kyaa mausam hai la : aa~ ki : ai diivaane dil are chal kahii.n duur nikal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n koii ham_dam hai la : aa~ ki : chaahat ke qaabil to kis liye ham sa.nbhal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : jhuum ke jab jab kabhii do dil gaate hai.n chaar kadam chalate hai.n phir kho jaate hai.n ki : he he he aisaa hai to kho jaane do mujh ko bhii aaj ye kyaa kam hai la : aa~ ki : do pal ko raahii are, mil jaae.n bahal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n ra : ye mastiyaa.N, ye bahaar dil ho chalaa beqaraar mai.n girataa huu.N mujhe thaam lo bhiige labo.n se meraa naam lo la : duniyaa ko ab do nazar kyo.n aae.n ham itane qariib aao ke ik ho jaae.n ham ke ik ho jaae.n ham dono:ke ik ho jaae.n ham ra : ke ik ho jaae.n ham la : huu.N~ khoye se ham, khoyii sii ma.nzil achchhaa hai sa.nbhal jaae.n ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : ho~ achchhaa hai sa.nbhal jaae.n ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : ho~ achchhaa hai sa.nbhal jaae.n % #endindian \endsong %