% ITRANS Song # % \startsong \stitle{aa_o mai.n tumako bataauu.N ki muhabbat kyaa hai}% \film{(Unreleased film)}% \year{1985}% \starring{}% \singer{Talat Mahmood}% \music{Ravindra Jain}% \lyrics{}% % % Audio on: talatmahmood.net % Tags: % Contributor: Badr % Transliterator: % Date: 8 Aug 2006 % Series: % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20060924. % \printtitle #indian % jism kii bhuukh ke chaaro.n taraf afasaane hai.n haay afasos ye tahaziib ke paimaane hai.n ishq kah\-kah ke chhupaate hai.n havas ko apanii log kyaa Kuub sajaate hai.n havas ko apanii (aa_o mai.n tumako bataauu.N ki muhabbat kyaa hai aur is lafz kii insaan se nisbat kyaa hai)\-2 aa_o mai.n tumako bataauu.N ki muhabbat kyaa hai kisii mazaluum kii, majabuur kii Kidamat kii hai? kisii biimaar kii, maa'zuur kii Kidamat kii hai? kyaa kabhii bhuukhe pa.Dosii kii Kabar lii tumane? kyaa yatiimo.n ko kabhii dii hai tasallii tumane? Gair ke dard ko samajho ki ibaadat hai yahii aur sach puuchho to, ai dost! muhabbat hai yahii ba.nd hogii kabhii jismo.n kii Kariid aur faroKt ye fasaadaat me.n guNDo.n kii Kariid aur faroKt aaj insaan kii azmat ko ba.Dhaanaa hai hame.n ra.ng aur nasl kii tafariiq miTaanaa hai hame.n shaayarii husnaparastii ke siwaa bhii kuchh hai aadamii putalaa\-e\-Kaakii ke siwaa bhii kuchh hai aa_o mai.n tumako bataauu.N ki muhabbat kyaa hai aur is lafz kii insaan se nisbat kyaa hai aa_o mai.n tumako bataauu.N ki muhabbat kyaa hai % #endindian \endsong