% ITRANS Song # % \startsong \stitle{ek baat puuchhatii huu.N}% \film{Suhagan}% \year{1964}% \starring{Guru Dutt, Mala Sinha}% \singer{Lata}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Hasrat Jaipuri}% % % Audio on: MusicIndiaOnline % Tags: % Contributor: Anand Srinivasan % Transliterator: Anand Srinivasan % Date: 1 Jul 2006 % Series: LATAnjali % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20060924. % \printtitle #indian % (ek baat puuchhatii huu.N, ai dil jawaab denaa) \- 2 kyo.n unakii ho gayii huu.N ai dil jawaab denaa ek baat puuchhatii huu.N nadiyaa kii lahare.n machalake saahil se kyo.n Takaraatii hai.n saawan kii bijaliyaa.N ta.Dapakar baadal me.n kyo.n laharaatii hai.n aapas me.n pyaar hai dil beqaraar hai milake gale kho jaatii hai jaatii hai jaatii hai ek baat puuchhatii huu.N, ai dil jawaab denaa haa.N dil jawaab denaa, ek baat puuchhatii huu.N kisakii lagan me.n ye shamaa har raat dil ko jalaatii hai cha.ndaa ke pyaar me.n chakorii kyo.n apanii jaan ga.Nvaatii hai sholo.n kii baa.Nho.n me.n raahat kii raaho.n me.n marake bhii zi.ndagii paatii hai paatii hai paatii hai ek baat puuchhatii huu.N, ai dil jawaab denaa haa.N dil jawaab denaa, ek baat puuchhatii huu.N suuraj ko dekh ke kisii kii aa.Nkhe.n ye kyo.n jhuk jaatii hai.n paate hii saamane kisii ko saa.Nse.n ye kyo.n ruk jaatii hai.n jis dil me.n chor ho mastii kaa daur ho aa.Nkhe.n wahii.n jhuk jaatii hai.n jaatii hai.n jaatii hai.n ek baat puuchhatii huu.N, ai dil jawaab denaa kyo.n unakii ho gayii huu.N, ai dil jawaab denaa ek baat puuchhatii huu.N % #endindian \endsong