% ITRANS Song # % \startsong \stitle{aaj bhii suuraj Duub gayaa hai}% \film{Naag Mani}% \year{1972}% \starring{Rani, Waheed Murad}% \singer{Noorjehan}% \music{Nisar Bazmi}% \lyrics{Fayyaz Hashmi}% % % Audio on: % Contributor: Pulkit Sharma % Transliterator: Pulkit Sharma % Date: 21 Dec 2004 % Series: Noor-E-Tarannum % Comments: % generated using www.giitaayan.com % \printtitle #indian % shaam Dhale to pa.nkh pakheruu lauT ke ghar aa jaa_e jinake saajan paas naa ho vo asu_an diip jalaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e man ko jhuuThii aas dilaake Dhal ga_e shaam ke saa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e pal\-pal saarii rain guzaaruu.N Cham\-Cham niir baahaake har aahaT par tumako pukaaruu.N saajan mai.n ghabaraake kaise\-kaise sapane mujhako paagal man dikhalaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e jab\-jab aa_e yaad tumhaarii ik pal chain naa paa_uu.N ba.nd naa ho.nge nain jharokhe chaahe mai.n mar jaa_uu.N baiThii rahuu.Ngii raah me.n yuu.N hii pyaase nain biChaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e % #endindian \endsong