% \startsong \stitle{zamaane me.n ajii aise ka_ii naadaan hote hai.n}% \film{Jeevan Mrityu}% \year{1970}% \starring{Dharmendra, Raakhee, Ramesh Deo}% \singer{Lata}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Satish C. Kalra % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 03/30/1997 % \printtitle #indian % zamaane me.n ajii aise ka_ii naadaan hote hai.n vahaa.N le jaate hai.n kashtii jahaa.N tuufaan hote hai.n shamaa kii bazm me.n aa kar ke paravaane samajhate hai.n yahii.n par umr guzaregii yah diivaane samajhate hai.n magar ik raat ke yah to faqat mehamaan hote hai.n zamaane me.n \threedots mohabbat sabakii mahfil me.n shamaa ban kar nahii.n jalatii hasiino.n kii nazar sab pe chhurii ban kar nahii.n chalatii jo hai.n taqadiir vaale bas vahii qurbaan hote hai.n zamaane me.n \threedots Dubo kar duur saahil se nazaaraa dekhanevaale lagaa kar aag chup ke se tamaashaa dekhanevaale tamaashaa aap banate hai.n to kyo.n hairaan hote hai.n zamaane mei.n \threedots % #endindian \endsong %