% ITRANS SONG \startsong \stitle{hamane kisii se sunii kahaanii ... chalii re, chalii re merii naav chalii re}% \film{Jhoola}% \year{1941}% \starring{Ashok Kumar, Leela Chitnis}% \singer{Ashok Kumar}% \music{Saraswati Devi}% \lyrics{Pradeep}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004 \printtitle #indian hamane kisii se sunii kahaanii ek safar hai ye zi.ndagaanii \-2 ( kisako pagale tuu kahataa hai apanaa prem kii duniyaa kaa jhuuThaa hai sapanaa ) \-2 unakaa phuulo.n se rishtaa hii kyaa \-2 jinakii qismat kaa.NTo.n ke biich palii re chalii re, chalii re merii naav chalii re na jaane kidhar na jaane kidhar aaj merii naav chalii re chalii re, chalii re merii naav chalii re ( kal kii baato.n ko bhuul mere manawaa priit hai duHkho.n kii muul mere manawaa ) \-2 sapane kisii ke kabhii hote na puure roz banaavo phir bhii adhuure \-2 biite huye sapano.n kaa bojhaa uThaa le duur kahii duur merii naav chalii re chalii re, chalii re merii naav chalii re na jaane kidhar na jaane kidhar aaj merii naav chalii re chalii re, chalii re merii naav chalii re #endindian \endsong