% \startsong \stitle{mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa (mai.n to diivaanaa diivaanaa)}% \film{Milan}% \year{1967}% \starring{Sunil Dutt, Nutan}% \singer{Mukesh}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % \printtitle #indian % mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa \- 2 hazaaro.n tarah ke ye hote hai.n aa.Nsuu agar dil me.n Gam ho to rote hai.n aa.Nsuu khushii me.n bhii aa.Nkhe.n bhigote hai.n aa.Nsuu inhe.n jaan sakataa nahii.n ye zamaanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa \- 2 ye shahanaaiyaa.N de rahii hai.n duhaaI koii chiiz apanii huii hai paraaI kisii se milan hai kisii se judaaii nae rishto.n ne to.Daa naataa puraanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa \- 2 % #endindian \endsong %