% \startsong \stitle{meraa pyaar bhii tuu hai ye bahaar bhii tuu hai}% \film{Sathi}% \year{1968}% \starring{Rajendra Kumar, Vyjayantimala, Simi Garewal}% \singer{Mukesh, Suman Kalyanpur}% \music{Naushad}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Donald Persaud % Comments: The song is in two parts. The happy version uses stanzas % 1, 2 & 3 given below. The "sad" version uses stanzas 2 & 4. % \printtitle #indian % %INCOMPLETE meraa pyaar bhii tuu hai ye bahaar bhii tuu hai tuu hii nazaro.n me.n jaan\-e\-tamannaa, tuu hii nazaaro.n me.n tuu hii to meraa niil gagan hai pyaar se raushan aa.Nkh uThaaye aur ghaTaa ke ruup me.n tuu hai kaa.Ndhe pe mere sar ko jhukaaye mujhape laTe.n bikharaye meraa pyaar \threedots ma.nzil mere dil kii vahii hai saayaa jahaa.N diladaar hai teraa parbat parbat terii baahe.n gulashan gulashan pyaar hai teraa mahake hai aa.Nchal meraa meraa pyaar\threedots jaagii nazar kaa khvaab hai jaise dekh milan kaa din ye suhaanaa aa.Nkh to mere jalavo.n me.n gum hai dekhuu.N tujhe yaa dekhuu.N zamaanaa bekhud hai diivaanaa meraa pyaar\threedots mai.n huu.N akelaa kab se magar tuu aaj bhii mere saath ho jaise yaad me.n terii yuu.N bhii huaa hai haath me.n teraa haath ho jaise bhuul sakuu.N to kaise meraa pyaar\threedots % #endindian \endsong %