% \startsong \stitle{jaane kyuu.N log pyaar karate hai.n}% \film{Dil Chahta Hai}% \year{2001}% \starring{Aamir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}% \singer{Udit Narayan, Alka Yagnik}% \music{Shankar Ehsaan Loy}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % jaane kyuu.N log pyaar karate hai.n jaane kyuu.N vo kisii pe marate hai.n jaane kyuu.N pyaar me.n sochi_e to bas gam hai pyaar me.n jo sitam bhii ho kam hai pyaar me.n sar jhukaanaa pa.Dataa hai dard me.n muskuraanaa pa.Dataa hai zahar kyuu.N zi.ndagii me.n bharate hai.n jaane kyuu.N vo kisii pe marate hai.n jaane kyuu.N pyaar bin jiine.n me.n rakhaa kyaa hai pyaar jis ko nahii.n vo tanhaa hai pyaar sau ra.ng le ke aataa hai pyaar hii zi.ndagii sajaataa hai log chhup chhup ke pyaar karate hai.n jaane.n kyuu.N saaf kahate Darate hai.n jaane kyuu.N pyaar bekaar kii musiibat hai pyaar har tarah khuubasuurat hai ho pyaar se ham duur hii achchhe are pyaar ke sab ruup hai.n sachche ho pyaar ke ghaaT jo utarate hai.n Duubate hai.n na vo ubharate hai.n jaane kyuu.N pyaar to khair sabhii karate hai.n jaane kyuu.N aap hii mukarate hai.n jaane kyuu.N % #endindian \endsong