% \startsong \stitle{mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye}% \film{Nirala}% \year{1950}% \starring{}% \singer{Lata}% \music{C Ramchandra}% \lyrics{P L Santoshi}% % % Contributor: Satori (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % (mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye ) \-2 chaaro.n taraf lagaae phere, phir bhI haradam dUr rahe ulfat dekho aag banii hai, milane se majabuur rahe yahii sazaa hai.n duniyA me.n yahii sazaa hai.n duniyA me.n, dIvaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye marane kA hai naam muhabbat, jalane kA hai naam javaanii patthar dil hai.n sunane vaale, kahane vaalaa aa.Nkh kA pAnI aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n, gir jaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye % #endindian \endsong %