% \startsong \stitle{aap ke hasiin ruK pe aaj nayaa nuur hai}% \film{Bahaaren Phir Bhi Aayengi}% \year{1966}% \starring{Dharmendra, Mala Sinha, Tanuja}% \singer{Rafi}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Anjaan}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % \printtitle #indian % aap ke hasiin ruK pe aaj nayaa nuur hai meraa dil machal gayaa to meraa kyaa qusuur hai aap kii nigaah ne kahaa to kuchh zuruur hai meraa dil machal gayaa to meraa kyaa qusuur hai khulii laTo.n kii chhaa.Nv me.n khilaa\-khilaa saa ruup hai ghaTaa pe jaise chhaa rahii subah\-subah kii dhuup hai jidhar nazar mu.Dii udhar suruur hii suruur hai meraa dil \threedots jhukii\-jhukii nigaah me.n bhii hai.n balaa kii shoKiyaa.N dabii\-dabii ha.nsii me.n bhii ta.Dap rahii hai.n bijaliyaa.N shabaab aap kaa nashe me.n Kud hii chuur\-chuur hai meraa dil \threedots jahaa.N\-jahaa.N pa.De kadam vahaa.N fizaa.n badal ga_ii ki jaise sar\-basar bahaar aap hii me.n Dhal ga_ii kisii me.n ye kashish kahaa.N jo aap me.n huzuur hai meraa dil \threedots % #endindian \endsong %